Sunday, August 22, 2010

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai........................................



Apne Project ke bojh tale dabaa ja raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...




Zindagi se haara hua hai, Par schedule se haar nahi manta,

Apne Area ki ek ek code isne analyse ki hai,

par aaj kaun se rang ke 'socks' pehne hain, ye nahi jaanta,

Din par din ek excel sheet banata ja raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



Apne Code mein bugs dhoond leta hai par,

Majboor dost ki aankhon ki nami dikhayi nahi deti,

PC pe hazaar windows khuli hain,

Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,

Sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



Kitabon me gulab rakhne wala ,

Outlook mein red flag lagaa raha hai,

Dil ki zameen se armaano ki vidayi ho gayi,

Din bhar mails ke jawaab diye ja raha hai,

Weekends pe daroo peke jo khushi mana raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...




Maze lena ho is-se to poochh lo,

"Salary Increment" ki party kab de rahe ho,

Hansi udana ho iski to pooch lo, "On site" kab ja rahe ho?

Wo dekho Foreign se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



Kharche badh rahe hain, Baal kam ho rahe hain,

Salary ki date ati nahi, Income Tax ke sitam ho rahe hain,

Lo phir se bus chhoot gayi, Auto se aa raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



Pizza gale se nahi utarta,

To "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,

Office ki "Thaali" dekh muh banata hai,

Maa ke haath ka khana use roz yaad aata hai,

"Sprout Bhel" bani hai phir bhi, Free "Evening Snacks" kha raha hai,

Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



Aapne ab tak li hongi bahut si chutikiyan,

ek engineer ke jivan ka sach batati ye aakhri kuch panktiyan,

Hazaron ki tankhwah wala, Company ki karodon ki jeb bharta hai,

ek engineer wahi ban sakta hai, Jo lohe ka jigar rakhta hai,

Hum log jee jee ke marte hain, Zindagi hai kuch aisi,

Ek fauj ki naukri, doosri ek Engineer ki,
Dono ek jaisi,

Is kavita ka har shabd Dil ki gehrayi se aa raha hai,

Wo dekho ekengineer chala ja raha hai.........................................................



No comments:

Post a Comment